Wednesday, December 29, 2010

Likh du aaj kuch aisa

Likh du aaj kuch aisa
Ki har ek shabd khud hi apni kahani bata de,
Kalam khud ba khud saare raaz bayan kar de,
Kagaz bhi apni seema bhula de,
Umrey har ek mann main pyar aur umang ka saagar itna
ki shrota bhi nam aankho se vida kar de.

Kabhi sochti hu ki mile mujhe
Aasman jaisa anant kagaz,
Bhar du jise iccha rupi kalam se,
Bunu jisey indradhanush ke rango se
ki swayam iishwar hi ashru rupi varsha ki jhari barsa de.

Likh du aaj kuch aisa..........

No comments:

Post a Comment